XtGem Forum catalog


Romantic Shayari

Romantic Shayari

PAGE=8

Batao Mujhe Kitna Yaad Kartey Ho?
By : Gagan.. (Views : 465)

Uss ney ek bar mujh se poocha
ke batao mujhe kitna yaad kartey ho?
Maine kaha Bahot Zyada
Usne dubara sawal kiya
Ke phir bhi batao toh sahi aakhir kitna
Maine kaha Bahot Bahot Zyada
Mere jawab sunn kar
Woh zara-labb muskurai aur kaha
Aab mujhse bhi toh poocho na
Aur jab maine poocha
Toh uski muskurahat gehri hoti chali gayie
aur halka sa gulabi rang
uske chehray pe aake guzar gaya
usne mujhe doobi hui nazron se dekha
aur phir palke jhuka ke boli
Pagal, yaad to unhe kiya jata hai
jinhe insaan bhool jaye

 

Meri Tanhaiyan
By : Gagan.. (Views : 484)

Meri tanhaiyo ko ab ek mehmaan chaahiye
Mujhko saaya nahin ek insaan chaahiye
Baaton mein khulte hein aksar puraane zakham
Koi kam-sukhan koi bey-zubaan chaahiye
Andheriya hein zindagi mein door talak bahot
Mujhko ujaalon ka caarwaan chaahiye
Mujhko na raas aayega tera zareen qafas
Hum parindon ko khulaa aasmaan chaahiye.

 

Kitni Bechain Hai Yeh Sanse Meri
By : Gagan.. (Views : 915)

Kitni bechain hai yeh sanse meri,
bina tere bohat roti hain yeh aankhein meri,
Kab se meri aankho ko neend aati hi nahi
bahein mangti hai mujh se ratein teri,
Jaan aajao ke ab dil kahi lagta hi nahi
tum ko bula rahi hai yeh bahein meri,
Kitni bechain hai ye sanse meri,
bina tere bohat roti hain ye aankhein meri.

 

Hum Apni Mohabbat Ko Kabhi Ruswa Nahi Karte
By : Gagan.. (Views : 657)

Jo Rishtey Dil se jurte hain inhe toda nahi karte
Kisi ka saath Raste me kabhi chhoda nahi karte,
Kahin is se tumhare haath hi zakhm na ho jayein
Jo Toote aaina toh phir ise joda nahi karte,
Koi Toofan Teri Kishti ko Garq-e-Aab na karde
Kabhi Bikhri huyi Mojon ka Rookh moda nahi karte
Tijarat ke usulon par Mohabbat ki nahi jati
Mohabbat me kabhi Jazbaat ka Souda nahi karte
Sitam karna Mohabbat par, yeh hai Aadat zamane ki
Zamane ke sitam par Hum yeh Dil toda nahi karte
Mohabbat ke usulon me, yehi pehla usool apna
Ke Hum apni Mohabbat ko kabhi Ruswa nahi karte
Jis se Mohabbat karte ho us se Jhoot na bolo
Mohabbat me kabi Khayanat kiya nahi karte

 

Kyun Dil Udaas Hai?
By : Gagan.. (Views : 563)

Sab kuch to tere pass hai
To phir kyun dil udass hai?
Hai pyar bhi tere liye
Khayal bhi tere liye
Yeh dil bhi tere pass hai
To phir kyun dil udass hai?
Main sochta hoon bas tujhe
Main dekhta hoon bas tujhe
Jab mujh pe aitbaar hai
To phir kyun dil udass hai?

Apna Keh Nahi Sakta
By : Gagan.. (Views : 523)

Woh apna to hai par use apna keh nahi sakta,
woh ik pal ko bhi roothe, main seh nahi sakta,
Pyar jitna bhi ho pyar hi rehta hai,
Samandar kabhi nadee mein beh nahi sakta,
Joh aaj hai us mein he khush raho usko hi jiyo,
Kal kaisa ho aur kya ho koi kuch keh nahi sakta,
Woh tujhe mile na mile yeh baat sach hai,
Tu uske bina woh tere bina reh nahi sakta.

 

Ruksat Ho Rahe Hai Hum
By : Gagan.. (Views : 472)

Yeh Jahaki Ronak Mubarak ho Apko
Aab Iss Jahan se Ruksat Ho rahe hai ham!
Yeh Chaman ki Khushboo Mubarak ho Apko
Aab Iss Gulistaa se Dur Ja rahe hai ham!
Apne Jahan ko Mahekane Chale hai
Pyarki Duua do Iss Gul ko!
Apni Duniya mein Jaa Rahe hai
Izzazat Do Iss ko!

 

Lamha Lamha Tere Wajood
By : Gagan.. (Views : 437)

Lamha lamha tere wajood me basar hota,
Kya khub hota joh main teri rooh ka mehwar hota,
Teri in jheel se ankhon me mera ghar hota,
Teri ankhein joh dekhta, main wo manzar hota,
Kabhi patjhad to kabhi rimjhim,
kabhi sawan to kabhi badal,
Kabhi panchi to kabhi ambar hota,
Teri umeed ka hasil, Teri khwaish ka sila,
Main tere ishq, Tere sabr ka sumar hota,
Kya khub hota jo main teri ruh ka mehwar hota,
Lamha lamha tere wajood me basar hota.

 

Mera Zikr Na Karna
By : Gagan.. (Views : 428)

dukh dard ke maro se mera zikar na karna
ghar jao to Yaro se mera zikar na karna
wo zabt na kar paen gay Ankho ke samandar
tum gum guzaro se mera zikar na karna
pholon k Nasheman Mein raha hoon sada se
dekho kabhi gairon se mera zikar na karna
shahyad ye andehre hi mujhe rah dikhaye
ab chaand sitaro se mera zikar na karna
wo meri kahani ko galat rang na de de
afsana nigaro se mera zikar na karna
shayad wo mere haal pe be-sakhta ro de
is bar baharo se mera zikar na karna
le jayenge gehrai me tum ko bhi baha kar
darya ke kinaro se mera zikar na karna
wo shakhs mile to usse har baat batana
tum sirf isharo se mera zikar na karna

 

Aaj Aisa Karte Hai
By : Gagan.. (Views : 400)

Guftgu Ke Lamhon Mein
Dekh Hi Nahi Paate
Ham Tumhare Chehre Ko
Tum Hamari Aankhon Ko
Aaj Aisa Karte Hain
Chasm-o-lab Ko Padte Hain
Baat Chhod Dete Hain

Jaane Kya Lamha Hoga
Jab Ye Hath Hathon Se
Gar Kabhi Juda Hoga
Aaj Aisa Karte Hain
Zabt-e-Jaan Parakhte Hain
Hath Chhod Dete Hain

Kash Koi Samjhade
Log Kis Tarah Dil Ki
Manzilein Alag Kar Ke
Saath Chhod Dete Hain
Aaj Aisa Karte Hain
Bey-sabab Bikharte Hain
Zaat Tod Dete Hain

Apni Marzi Se
By : Gagan.. (Views : 376)

Apni Marzi se kahan apne Safar ke Hum hain
Rukh Hawaaon ka jidhar hai, udhar ke Hum hain
Pehle har Cheez thi apni magar ab lagta hain
Apne hi ghar me kisi Dusre Ghar ke Hum hain
Waqt ke saath hai Mitti ka Safar Sadiyon tak
Kisko Maloom kahan ke hain, kidhar ke Hum hain
Chalate rehte hain ke chalna hai Musaafir ka Naseeb
Sochte rehte hain ke kis Rah-Guzar ke Hum hain
Gintiyon me hi gine jate hain har Daur me Hum
Her Qalam-kaar ki Benaam khabar ke Hum hain

 

Teri Yaad
By : Gagan.. (Views : 421)

Bohat hi yaad aata hai mere Dil ko tadpaata hai
Woh tera paas na hona bohat mujh ko rulaata hai
Woh mera teri aankhon ke samandar mein uttar jaana
Aur teri muskurahat ke bhanwar mein doobte jaana
Teri awaaz ke saher se na nikal paana
Tujh ko dekhna aur be-khudi se dekhte jaana
Bohat chaha in guzre hue lamhon ko na sochoon
Na teri yaad mein reh ke tere saath ka sochoon
Bhoola doon saari yaadon ko ke jin se Dil tadpta hai
Ke jin se taish uthti hai ke jin se dard hota hai
Magar jab raat aati hai to teri yaad aati hai
Tere hi khuwaab hote hain teri hi baat hoti hai
Tujhe paaya ab mumkin nahi tujh ko bhoola dena
Teri yaad mein rehna tujhe hi sochte rehna
Tujhe jab yaad karte hain to Dil apna tadpta hai
Woh tera paas na hona bohat mehsoos hota hai

 

Aisa Kabhi Na Karna
By : Gagan.. (Views : 760)

Tum Rooth Jao Mujhse
Aisa Kabhi Na Karna
Main Ek Nazar Ko Tarsoon
Aisa Kabhi Na Karna
Main Pooch Pooch Haroon
So So Sawal Kar Ke
Tum Kuch Jawab Na Do
Aisa Kabhi Na Karna
Mujhse Hi Mil Ke Hansna
Mujhse Hi Mil Ke Rona
Mujhse Bichhad Ke Jee Lo
Aisa Kabhi Na Karna
Tum Chand Ban Ke Rehna
Main Dekhta Rahunga
Kisi Roz Tum Na Niklo
Aisa Kabhi Na Karna
Tum Chale Jao Jab Bhi
Toh dekhu Tumhara Rasta
Tum Lout Ke Na Aao
Aisa Kabhi Na Karna

 

Arzoo-E-Dil Ne Hame
By : Gagan.. (Views : 430)

Arzoo-E-Dil Ne Hame Diwana Bana Diya
Roye Na The Kabhi Aap Ne Rula Diya
Hum Ne To Har Waqt Yaad Kiya Lekin
Aap Ne Yaad Karte Karte Zamana Laga Diya

 

Tum Jaa To Rahi Ho Par
By : Gagan.. (Views : 358)

Tum jaa to rahi ho par itna to bata do
Is Dil se kya kahoon ise kaise samjhaun
Is ke Tootne ki awaaz to na ayegi Tumhein
Par uske Tukdon ko lekar main kahan jaoon
Tum Jaa to rahi ho par itna to bata do
Un Yaadon ka main kya karoon
Tumhare likhe khaton ko main kahan jalaoon
Kise baar baar Sataoon kise Manaoon
Tum Jaa to rahi ho par itna to bata do
Meri Siskiyon mein bhi Tumhara hi Naam hai
In Ashkon ko main kahan chhupaun
Tum shumaar ho abhi tak Parda-Nasheeno mein
Log sab puchenge to bolo main kya bataoon
Tum Jaa to rahi ho par itna to bata do
Tujhe Bhulaane ke konse Tareeke apnaun
Meri Dhadkan, har Saans ki rawangi ho Tum
Tujhe bhoolane ki koshish mein kahin mar na jaun

Nazneen
By : GAGAN... (Views : 945)

mere pehlu par jab vah chalti gulistaan mein
farje aasma par kehkasha hasrat se takta tha
muhabbat jab chamak uthi uski chasme khadaan mein
khumastane falak se noor ki sahba barasti thi
meri baju mein jab vo zulf-e-shabnam khol deti thi
zamana mehakti khilti nadi mein doob jaata tha
meri shaan par jab sar rakh kar ke tandi saanse leti thi
meri duniya mein saajo-saaj ka tufaan aata tha
meri aankhon mein aankhein daalkar jab vah muskurati thi
mere julmat kandhe ka zarra zarra jagmagata tha.

 

Zamne Se Nahi
By : Gagan(Views : 361)

zamne se nahi, tanhai se darte hai,
payar se nahi, ruswai se darte hai,
milne ki umang bahut hoti hai dil me lekin,
milne ke baad teri judai se darte hai.

 

Chupke Se
By : Gagan (Views : 611)

chupke se aapki dhadkan
me utar jayenge
raahe ulfat mein aaj hudd se
guzar jayenge
toot ke aap jo hume is kadr chahenge
hum to bahon mein toot kar bikhar jayenge

 

Tumhari Ek Mulaqat
By : Gagan (Views : 589)

tumhari ek mulaqat ne
dil ko chhoo liya
bina kuchh jaane hi
dil tumhara ho liya
nahi maaloom kya tha
uss mulaqaat mein
jo agar na mile tum
to tumhe sapne mein bula liya

 

Tum Samne Ho
By : Gagan (Views : 539)

tum samne ho yeh gumah rehta hai
chhoo nahi sakte to kya huya
tumhaare saath waqt beetaney
ka bahaana to hota hai
ankhon me sapne ki tarhan
samet ke rakha hai tumhe
bhula nahi sakte tumhe
yeh baat rom rom kehta hai

Pyar Hi Pyar
By : Gagan (Views : 577)

khamosh se rehne lage hai hum
intzaar kisi ka karne lage hai hum

yakeenan kisi se hui hai mohabbat
bina baat hi muskurane lage hai hum

dil puchta hai bas yeh ik sawaal ke
koi humara ya kisi ke hone lage hai hum

darr hai kisi ke kho jaane ka
jaane kaisa khwaab bunne lage hai hum

ab toh her cheez se ho jata hai pyar
dusron ko bhi pyar shkhane lage hai hum

yeh qalam bhi pyar ki ho gayi deewani
bas pyar hi pyar likhne lage hai hum

 

Duriyon Ki Parwah
By : Gagan (Views : 862)

Duriyon ki parwah na kiya kijiye,
dil jab bhi pukare bula liya kijiye,
hum jyada dur nahi apse bus apni ankhon Ko palko se mila liya kijiye.

 

MANA LUNGA
By : Gagan(Views : 409)

WO SAMNE AYE TO NAZRON KO JHUKAA LUNGAA
DEKHUNGA NAHI PHIR BHI TASHWEER BANA LUNGA

AANA HO TO AA JAO RUSHWAYEE NAHI HOGI
DEKHEGA NAHI KOI PALKON ME CHHUPA LUNGA

JO HAM PAR GUZARNI HAI IK BAAR GUZAR JAYE
HAR GHAM KI TARHA TUJH KO SEENE SE LAGA LUNGA

WEERAN AGAR DIL HO ANKHON MEIN ANDHERA HO
YAADON KE DIYE APNI PALKON ME SAJAA LUNGA

MANZOOR AGAR HOGI RUSHWAYEE TERI MUJHKO
MAIN BAITH KE SHAHIL SE TUFAAN UTHA LUNGA

NARAAZ AGAR WO HAIN MERE NASHEMAN SE
MAIN APNE NASHEMAN KE TINKON KO HATA LUNGA

KYON MUJHSE KHAFAA HOKAR WO DOOR GAYE
BAANHO ME WO AA JAYEN MAIN UNKO MANA LUNGA

 

RAAT KI BARISH
By : Gagan (Views : 465)

Barish Ka Ye Mousam Koch Yaad Dilata Hai
Kisi Kay Saath Honay Ka Ehsaas Dilata Hai

Fiza Bhi Sard Hai Yaadain Bhi Taaza Hai
Ye Mousam Kisi Ka Pyaar Dil May Jagata Hai

Bheegi Hoye Raatain Khamosh Si Baatain
Aisay Main Koch Kaho Tu Her Lafz Madhem Ho Jata Hai

Barsat Ki Hain Bondain, Bondon May Hai Khushbo
Ye Lumha Tu Dil Ka Ehsaas Chuu Jata Hai

Aisay Main Tum Bhi Keh Do Dil Ki Baat
Ye Mousam Toh pal Bhar Main Beet Jata Hai

 

Ek Bar To Aaja Aaja
By : Gagan (Views : 440)

hey mere dil mein rehne wale
meri nazroo ke samne aaja
so baar nahi to ek baar aaja


« Back
« Home
wWw.Bhangu.Xtgem.CoM
© 2010 ! Inc - All rights reserved
online counter